Friday 13 December 2013

multi star's dialogues


Dharmendra

                              

 

 

 

                         Amitabh Bachchan

1. Basanti in kutto ke samne mat nachna
2.  Hum kaam sirf paison ke liye karte hain
3. Actor kya hai? ... director ke haath ki katputli
4. Tum agar ek maaroge to hum chaar maarengee
5.  Kutte kamine ... main tera khoon pee jaoonga
6.  Kuch aur paane ki chaah, kuch aur behtar ki talaash ... is hi chakkar mein insaan apna sab kuch kho behetta hai joh uske paas hota hai ... talaash kabhi khatam nahi hoti ... waqt khatam ho jaata hai
7.Zindagi bilkul in barf ki reshu ki tarah hi toh hai ... pal bar ke liye taherti hai aur pighal jaati hai ... par kambhakt jitni derr rehti hai, badi khoobsurat lagti hai

8. Kuch aur paane ki chaah, kuch aur behtar ki talaash ... is hi chakkar mein
insaan apna sab kuch kho behetta hai joh uske paas hota hai ... talaash kabhi khatam nahi hoti ... waqt khatam ho jaata hai

shatrughan sinha


1. Jali ko aag kehte hain, bhuji ko raakh kehte hain ... jis raakh se barood bane, usse Vishwanath kehte hain
2. Jab do sher aamne saamne khade hoon ... toh bhediye unke aas paas nahin rehte
 3. Tum achcha kaam karne waala ek bura insaan hai
4. Jis tarah bewafaa mehmoob kabhi ek dil mein nahi reh sakte ... us hi tarah choohe kabhi ek bil mein nahi reh sakte
5. Kuch saanp itne zehreelay hote hai ... ki agar woh kaat le toh palak jhapakte hi zindagi kat jaati hai ... woh karvat badalne ka mauka tak nahi dete
 6. Bhadki hui aag ko bhujane ke liye joh phoonk marne ki koshish karta hai ... uska chehra jal jaata hai
7. Vishwanath us cheez ka naam hai joh gareebi aur insaaniyat se pyar karta hai ... aur aap jaise rakshasho pe vaar karta hai
8. Yah toh tum neeche aa jao yah phir hum upar aate hai ... yah thoda neeche tum aao aur thoda upar hum aaye
9. Jinke badan kagaz ke hote hai woh agni devta ki puja nahi karte
10. Aaj ke zamaane mein toh baimaani hi ek aaisa dhanda reh gaya hai ... joh poori imaandari ke saath kiya jaata hai
11. Jab sher aadamkhor ho jaata hai ... toh sarkar usse apni goli ka nishana banakar kutte ki maut maar deti hai
12. Aurat pe haath uthana ... namard ki pehli nishaani hai
13. Hum tere pairon ke neeche ki zameen itni garam kar denge ... ki tere jhooto tak mein chaale padh jayenge
14.  Aaj ke baad dubara koi aaisi harkat ki na ... toh yeh haath khane ke layak toh kya ... dhone ke layak bhi nahi rahega
15. Aaj humne tarakki ka pehla seedhi par kadam rakh liya hoon ... aur bahut jaldi itna unchai pe pahunch jaonga ... ke humko dekhne ke liye tumko aakash ka baadal hatana padega
16. Mard ke bachche aurat ke daaman se nahi ... sher ke panjo se khela karte hai
17.  Apne desh mein ladkiyan kapde utaarkar nahi ... balki pehenkar khoobsurat lagti hai
18. Jiske sar pe tujh jaise dost ki dosti ka saaya ho ... uske liye bankar aayi maut, uske dushmano ki maut ban jaati hai
19.  Zindagi insaan ko laati hai, maut le jaati hai ... yeh sharaab beech mein kahan aati hai
20. Gundaraj ka khaatma wahi kar sakta hai ... joh state ka sabse bada gunda hai
21. Haathi agar chinti ke upar pair rakh de toh chinti marta nahi ... usse masalna parta hai
22. Khatmalo ko maar maar kar khoon jaama karne se ... blood bank nahin ban jaata
23. Aaj nag panchami hai kya? ... phir yeh saanp ko doodh kyun pila rahe ho?
24. Chup chap chala ja yahan se ... varna tere right ke saath saath left thopda bhi chaupat kar doonga



















No comments:

Post a Comment