Wednesday 18 December 2013

dialogues of amitabh bachchan

Amitabh Bachchan
                              TOP 50: Amitabh Bachchan's most memorable dialogues  
1. Agar apni maa ka doodh piya hai to saamne aa. - Laawaris
2. Yeh tumhare baap ka ghar nahin, police station hai, is liye seedhi tahrah khade raho    - Zanjeer
3. Paisa kya hai, sirf ek number na.  - Teen Patti 
4. Sahi baat ko sahi waqt pe kiya jaye to uska maza hi kuch aur hai, aur main sahi waqt ka intezaar karta hoon.  - Trishul 
 5. Angrezon ke zamaane ke jailor, aur itni ghabrahat?  - Sholay
6. Moochein ho to Nathulal jaise warna na ho. - Sharaabi
7. Govardhan seth, samundar mein tairne waale kuoon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain.  - Sharaabi 
8. Meri history janta nahi hai tu, mere shareer me haddi kam taanke zyada hain.  – Department  
    9. Sapne bhi samundar ki lahron ki tarah haqeeqat ki chattanon se takrakar toot jaate hain. - Deewar     10.  Don ko pakadna mushkil hi nahin, naamumkin hai. - Don
 11.  Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai – ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne padti to shadab ho bhi sakti thi.  -  Kabhie Kabhie
12. Aaj aap ke paas aap ki saari daulat sahi, sab kuch sahi, lekin maine aap se jyaada garib aaj tak nahin dekha. Good bye, Mr R K Gupta.  - Trishul
13. Hum bhi to roz khatro se khelte hai.  - Sholay
14.   You are right, Mr R K Gupta, yeh contract mujhi ko milegi. Aur haan, mere banaye hue colony mein agar aapko ghar chahiye, to taqalluf mat kijiyega, makaan aap ko mil jayega. - Trishul
15. Pura naam, Vijay Dinanath Chauhan, baap ka naam, Dinanath Chauhan, maa ka naam, Suhasini Chauhan, gaon Mandwa, umar chhattis saal.  - Agneepath20 Jo kal hua, woh dobara nahi hoga
 16. Zindagi ka tambu teen bambuo pe khada hai. - Sharabi
17. Mujhe jo sahi lagta hai main karta hoon, fir chahe wo bhagwan ke khilaaf ho, kanoon ke khilaf ho ya pure system ke khilaaf.  – Sarkar
18. Apni sharto par chalne wale ko keemat chukani padati hai, mujhe jo sahi lagta hai wo mai karta hu - Sarkar Raj
19.   Parampara, Pratishtha, Anushasan. Ye is gurukul ke teen stambh hai. Ye wo aadarsh hain jinse hum aapka aane waala kal banaate hain. - Mohabbatein
20.Arre yeh jeena bhi koi jeena hai, Lallu? - Mr Natwarlal
21. Wahan se tumhe yeh cheh dikh raha hoga. Lekin yahan se mujhe yeh nau dikhta hai  - Aakhree Raasta
22. Is duniya mein do tarah ka keeda hota hai. Ek woh jo kachre se uthta hai. Aur doosra woh jo paap ki gandegi se uthta hai.  — Hum
 23.Ghadi Ghadi drama karta hai, saala  - Sholay
24.  Yeh koyle ki khaan ek azgar hai seth sahab, jo roz, anginath logon ko nigalkar, usei peeskar, jism se khoon ka ek-ek katra choos kar, ek laash ke roop mein ugal deta hai. - Kaala Patthar
25. Hai kisi maa ke laal me himmat, jo mere saamne aaye?  - Namak Haraam







26. Aur waise hi, main is ko yahan nahi maroonga, warna log kahenge Sikandar ne apne ilake me usey mara. - Muqaddar Ka Sikander
 27. Bachpan se hain sar par Allah ka haath, aur Allah Rakha hai mere saath, baazu par hai saat sau chhiyaasi ka billa, bees number ka beedi peeta hoon, kaam karta hoon coolie ka aur naam hai Iqbal.
29.  Apun woh kutte ki dum hai, jo baara baras nalli ke andar daal ke, nalli tedi hoti, apun seedha nahin hota! - Laawaris
30.   I can talk English, I can walk English, I can laugh English because English is a very phunny language. Bhairo becomes Byron because their minds are very narrow! - Namak Halal
31.  Kallu se Kaalia ka safar shuru.  - Kaalia
32. Main aur meri tanhaai — aksar ye baatein karte hain...  - Silsila
33.  Auron ko to eenhone ek ghante mein sikha diya hai. - Sholay
 34. Daaru peene se liver kharab ho jaata hai. - Satte Pe Satta
 35. Yeh telephone bhi ajeeb cheez hai — aadmi sochta kuch hai, bolta kuch hai aur karta kuch hai.  - Agneepath
36.  Don’t mess with the army.  - Major Saab
37.   Is Imaarat ki neev itni majboot hai ke koi Raj Aryan haathon me violin aur chehre pe muskaan liye uski ek bhi eenth hilane ke liye kadam nahi rakh sakta  —Mohabbatein
38. Hamare desh mein kaam dhoondna bhi ek kaam hai - Shakti
 39.  Pain is my destiny and I can’t avoid it - Kaala Patthar
 40. Anand mara nahi, Anand marte nahi - Anand
41.  Aisa to aadmi life mein doich time bhaagta hai. Olympic ka race ho, yaa Police ka case ho. Tum kisliye bhaagta hai bhai?
 -Amar Akbar Anthony

 42. Kya karun, mera to dil hi kuch aisa hai, Mausi  - Sholay
43. Abey buddah hoga tera baap - Bbuddah Hoga Tera Baap
44.  Main aaj bhi phenke hue paise nahin uthata - Deewar
 45.  Aaj mere paas bangla hai, gaadi hai, bank balance hai, kya hae tumhare paas?  - Deewar
46.  Jigar ka dard upar se nahin maloom hota hai - Sharaabi
 47. Jisne pachchees saal se apni maa ko thoda thoda marte dekha ho, use maut se kya darr Trishul
48. Peter, tum log mujhe wahan dhoond rahe the aur main tumhara yahan intezaar kar raha hun  - 49. DeewDo aansoo is aankh se gire, phir do us aankh se. Phir do is aankh se, do us aankh se. Phir do is aankh se, do us aankh se. Kitne huye?...Nau lakh ke haar ke liye, barah lakh ke aansoo? Daddy hote to kehte: Vijay, tumhe business karna nahi aata?  - Sharaabi
 50. Partner, ab bol hi diye ho to dekh lenge.  - Sholay



No comments:

Post a Comment